21st century Ke sabse Bade Technology badlav ka smartphone device Ek Pratik hai. mobile app aadharit online learning Mein Jis Tarah badlav ki nai shuruaat Ki Hai uska upyog na sirf vyaktigat star se ho raha hai, balki Sabhi business Sansthano aur Shiksha se Judi Kai sansthaye Apne Tor trikon ko prabhavi rup se Badal Rahi Hai. mobile technology Ki Sabse Badi aur Aham khasiyat Yahi hai, ki yah dusri techniko ke mukabale bahut jyada hi user-friendly hai. Corporate learning Mein mobile app ki bahut jyada ahmiyat badh chuki hai.
smartphone Hamari Jindagi Ka Ek important hissa ban gaya hai. Mobile world mein Skill development ka sabse bada Madhyam ban gaya hai. mobile Users aur mobile App Ki badhti sankhya ko Dekhte huye andaza Lagaya Ja sakta hai, ki un companiyo ke liye Kis Tarah ke naye naye mauke aa rahe hai, Jo E-Learning ke Disha Mein Apne customers ke bartav ko samjhne ke liye Kitni mehnat kar rahi hai.
Mobile learning kya hai?
Mobile learning ya M-Learning Shiksha ka Ek Naya trend ban gaya hai, Is Modern technology ka upyog sikhane ko sikhane Ke Liye bahut jyada ho raha hai, lekin adhiktar mobile learning Karne Wale dusre mobile platform Main available content ko sahi tarah se fit karne ki koshish Karte rahte hai.
M-Learning kya hai ?
M-Learning ke liye Users ke emotional ko Dhyan Mein rakhkar Iske designing nahi Ki Jaati Hai, jisse learner per Achcha Prabhav Nahi padta hai. Students ko mobile learning ke liye Alag-Alag Cognitive levels ko samajhna Bahut Jaruri Hota Hai. Jab student content taiyar karte hai, to us Samay user ko Cognitive level Ka Dhyan Rakhna bahut hi Jaruri Hota Hai. Aaj Ham aapko bataenge ki aap Kis Tarah basic level se apne mobile learning ki shuruaat kar sakte hai.
AntGyan Star :- ( Intuition level )
Mobile learning Mein sabse basic level Se Jab Ham shuruaat Karte Hai, To sabse pahle Hame Cognitive level per Aana hota hai, yah mobile learning ki basic process hai. aaj ke Samay Mein vyakti Appearances ke bare mein bahut fast tarike se judgement karne ke liye Viksit ho gaye Hai, Vyakti ko Pre-concious Level per powerful emotional impression turant hi mil Jaate Hai.
Ek prabhavi M-learning design Aisa Hona chahie, Jo lerner ke Dhyan ko apni or aakarshit Kare. Developers ko is Baat Ka Dhyan Rakhna chahie ki colour,layout,theme aur font ka Chayan sahi tarah se karna chahiye, yadi aap in sabhi chijon ka sahi tarah se Chayan Karte Hai, To Aapke content ka Sahi presentation aap kar sakte hai, isase aapka Intuition level Per aapka design Safal hoga.
Vyavaharik star (Practical level ) :-
Practical level Main learner ka Complex brain sthiti ka Analysis Karta hai, aur Usi ke anusar hi vyavhar Mein badlav karta hai. Visibility aur function M-learning ke sabse best vyavaharik design ke component Hote Hai. Developer ko Intuitive ko design kam Mein Lena bahut hi Jaruri Hota Hai. Students ke liye clear navigation ka Palan karna bahut jaruri hai, aise user ko samajh aata hai, ki best result ke liye Kaha kya karna hai aur kahan type karna hai aur kis jagah swipe karna hai.
Vaicharik star (Conceptual level) :-
Cognitive Ke vaicharik level per Swayam ki activities ka vishleshan Kiya jata hai, is level per Aakar user Ek Bar fir se Soch sakte hai. Is level per Aakar user Apne learning ke pure Anubhav per Ek Bar fir se Soch vichar kar sakte hai, Sath hi Pure course ke impression ke bare mein decision Le sakte Hai.
M-learning designer knowledge Prapti ke liye learner ko protsahit karna Bahut hi Jaruri Hota Hai. M-Learning social media aur blog ko integrate Karke Sabhi student ko Apne results aur kam ki process ke bare mein sochne ka mauka Deti Hai.
Kya Hai Google AI Platform? Kaise Karta Hai Kam
जानिए सबकुछ कैसे जनता है Google, कहा से मिलती है जानकारी
Photo Ka Background Kaise Badle, Free Background Remover Tool
Bounce Rate Kya hai, Bounce Rate Kam Kaise Kare
Free Web Hosting Kya Hai Free Web Hosting ke Fayede Fayde Nuksan?