Brain power kaise badhaye?

Aaj ke Samay Mein Har vyakti bahut fast tarike se safalta Hasil karna chahta hai. yadi aap ki memory acchi hai, to aapko safalta hasil karne Mein der Nahi Lagti Hai, yadi aap apni memory ko aur bhi achcha banana Chahte Hai, To aapko kuchh khas Bato Ka Dhyan Rakhna bahut hi Jaruri hota hai, […]

Aaj ke Samay Mein Har vyakti bahut fast tarike se safalta Hasil karna chahta hai. yadi aap ki memory acchi hai, to aapko safalta hasil karne Mein der Nahi Lagti Hai, yadi aap apni memory ko aur bhi achcha banana Chahte Hai, To aapko kuchh khas Bato Ka Dhyan Rakhna bahut hi Jaruri hota hai, Kyo ki Kisi bhi chij Mein safalta Hasil karne ke liye aapki memory ka important yogdan Hota Hai.

Jis Tarah aap Sochenge Usi Tarah aap apne business ya FIR Kisi bhi chij ko use dhang Se Karte Hai, isliye aapko apni Soch ke answer apni shamta Ko Badhana hoga. aaj Ham aapko batane Wale Hai Ki Kis Tarah aap apni memory ko Behtar bana sakte Hai? Taki aap Sabhi chijon Mein safalta Hasil kar sake.

Vyakti ki memory per Kai tarah ki research ki gai hai, jisme Kafi mahatvpurn Bato ki jankari Lagi Hai. Hamare dimag ke andar sabhi chijon ko grahan karne aur viksit hone ki bahut acchi capacity hoti hai, halaki isase Koi Fark Nahi padta hai ki Hamari Umr kitni hai. hamara dimag lagatar Vikas karta rahata hai. aaj Ham aapko aapki brain power ko majbut karne ke tips batane Wale Hai janiye kes tarah aap apne brain power ko aur bhi majbut bana sakte Hai.

Brain power badhane ke liye Kya Kare ? Brain power kaise badhaye?

– Dance karte Rahana chahiye.
– Tension free Rahe.
– jaldi Sona start kijiye.
– Paidal Ghume.
– Online shopping Kare.
– Sangeet Sune.
– Dimagi Paheliyo ko solve Kare.
– Foreign Language Sikhe.
– Hath Change kare.
– Busy Rahana sikhe.

Dance Karte Rahana Chahiye.

Bahut Sare vyakti is Baat se Anjan Rahte Hai, Ki dance karne se bhi brain power strong Hota Hai. yadi aap niyamit Roop se dance karte Hai, to Aapka dimag majbut Hota Hai. yadi Aap Ke Samne Kisi Tarah Ki Koi chatting chijen aa jaati hai, to aap uska sahi tarah se vishleshan (Analysis) karne mein Samarth Hote Hai. Aise mein aap dusron ko Kisi Bhi chij ki turant hi pratikriya dene Main mahir Ho Jaate Hai. yadi aap apne brain power ko strong karna chahte Hai, to aapko apni daily life mein regular dance karna chahiye Taki aap apne dimag ko aur bhi majbut bana sake.

Tension free Rahe

Yadi Hamen Kisi chij Ki tension rahti hai ya FIR bahut jyada Tanav Ho Jata Hai, To Ham Bechen Ho Jate Hai, aur us Samay Hamara dimag bhi Sahi tarike se kam karna band kar deta hai. yadi Ham tension free Rahte Hai, To Hamare brain power ke strong banata hai. Kisi chij Ki yadi Ham tension Lete Hai, To us samay Tanav Lene se memory loss Ho Jaati Hai. is condition Mein Hame high blood pressure, hypertension Jaisi Kahi samasyao Se Alzheimer Ki problem bhi ho sakti hai, isliye yadi Ham apni brain power Ko Badhana Chahte Hai,To Hame tension free Rahana chahiye aur kisi bhi chij ka Tanav Nahi Lena chahiye.

Jaldi Sona start kijiye

Bahut sare vyaktiyo ki Aadat Hoti Hai Ki vah bahut jyada lat sote Hai. Raat Ke Samay Ya to wah social websites per Apna Samay batate Hai ya FIR game khelne mein vyast ho Jaate Hai, Jis vajah se vah Sahi Samay per so Nahi paate Hai, lekin vah Bhul Jaate Hai Ki jitni late aap sote Hai usase aapka dimag Jyada kamjor Hota jata hai, yadi aap apne dimag ko Swasth Rakhna Chahte Hai, To aapko Sahi Nind Lena bahut hi jaruri hai, aur iske liye aapko jaldi sone ki Aadat ko Apnana Hoga. Jab Ham sote Hai to hamare dimag ki koshikao ka Vikas hota rahata hai aur ise Hamare dimag ki memory bhi majbut hoti hai. Jab Ham so Jaate Hai, to hamare dimag ki koshikaye Nai aur Shamil jati Hai, jisse Hamari brain power strong Hota Hai.

Paidal Ghume

Kai vyakti niyamit Roop se Paidal chalte Hai, lekin bahut Sare vyakti Aise Bhi hote Hai jinhe Paidal chalne Mein aalas Aata Hai. Yadi aap niyamit Roop se 40 minut Tak Paidal rojana Chalte Hai, To aapke mind ke Hippocampus ka Aakar badhta hai. Hippocampus Hamare mind ka memory kab Hota Hai isase Hamari memory Aur Bhi acchi hoti hai.

Online shopping Karen

Aaj ke Samay Mein Har Koi online shopping karta hai, lekin unhe is baat ki jankari Nahi Hoti Hai, Ki online shopping Karne Se Hamara dimag Aur Bhi Jyada viksit Hota Hai. Ham apni Umr ke kisi bhi padov per Hai, yadi ham shopping ke liye online shopping computer Se Karte Hai, to hamara dimag viksit Hota Hai yadi Ham koi bhi naya kaam karte Hai ya FIR Nai Nai chijon ko khojte Hai, To Hamara dimag viksit Hota jata hai.

Sangeet Sune

Jab Ham koi bhi Sangeet sunte Hai, To Hamara mind bahut jyada hi active ho jata hai. sangeet sunane wale vyaktiyon ki yaddasht bhi bahut hi acchi hoti hai, yadi aap apni brain power ko majbut karna chahte Hai, to aapko apna man prasand Sangeet Jarur sunna chahiye, yadi aap niyamit Roop Se Apna favourite Sangeet sunte Hai, To aapka brain power bahut jyada majbut ho jata hai.

Dimagi Paheliyan Ko Solve Kare

Kai vyakti rozaana Ek Jaisi paheliyon ko Hal Karte rahte Hai, lekin vah Bhul Jaate Hai Ki continue Ek Jaisi paheliyon ko Hal karne se Hamara dimag vikshit Nahi ho pata hai. yadi Ham Apne mind ko Strong banane ke liye Paheliyo ko solve Karte Hai, To Hame rojana nai nai paheliyan ko solve karna chahi Taki Hamare brain ki exercise hoti Rahe.nai nai paheliyan ko solve Karne Se Hamare dimag ki kasrat hoti hai,yadi aap apne mind ko strong banana Chahte Hai To aap rojana nai-nai paheliyo ko Hal Kare ke liye Aap Kai tarah ke App ka use kar sakte hai.

Foreign Language Sikhe. Foreign Language kaise Sikhe?

Research main is baat ka khulasa hua hai, ki yadi Koi vyakti apni bhasha ke alava dusri Bhasha sikhne ka Prayas Karta Hai, To Hamara dimag Aur Bhi Jyada viksit ho jata hai. yadi Ham is time foreigner language course sikhne ka Prayas Karte Hai, To Hamara dimag Aur Bhi Jyada viksit ho jata hai. videshi bhasha sikhane ke liye mobile app ka use kar sakte Hai. isase Hamari long-term memory bhi Kafi strong ho sakti hai.

Hath Change kare

Har Koi vyakti Apne Ek Hath se Hi Sabhi kam pure Karte Hai, lekin yadi aap jis hath se Apne Sabhi kam karte Hai us Hath Ke Badle dusre Hath se apne kam karna start kar dete Hai, To aap ka dimag Aur Bhi Jyada viksit ho jata hai, Kyunki aap ke dusre Hath se kam karne ke liye Aapke dimag ko Jyada Jor Lagana padta hai. Jab aap apna dusra Hath use karte Hai, to aap ka dimag storng Hota Hai. aisa karne se Aapke dimag ki Senses ke bich ka connection strong hota hai, aur Aapke dimag Mein New Neural Pathway Developed Hote Hai.

Busy Rahana sikhe

Kai vyakti Apne kam ko lagatar Karte rahte Hai, vah dusre Logon ki tulna mein Kafi strong rahata hai. Lekin kuchh log Apne niyamit kam Ko Chhod Dete Hai Aise Mein Unka dimag kam karna band kar deta hai. research main bhi is baat ki pushti hui hai, ki jo vyakti Apne important kam Ko Nahi Karte Hai, To Unme short term memory loss Teji Se Hoti Hai, isliye yadi aap apni memory ko strong banana chahte Hai, aur brain power Badhana Chahte Hai To aapko Khud Ko Kisi bhi kam Mein vyast Rakhna Hoga, Kyunki jab tak aap Kisi Kam Ko lagatar Nahi Karte Hai, To aapka dimag Sahi tarike Se Kam Nahi karta hai.

Second Hand Phone की कमियां कैसे पता करे?

ये है 1 हजार से कम कीमत वाले Bluetooth Earphones

Smartphone का Password Reset कैसे करे?

Normal computer और Gaming computer में क्या अंतर है?

data-full-width-responsive="true">