India me mushkil se koi aisa vyakti hoga jo whatsapp ka istemaal nahi karata hoga. Whatsapp duniyabhar me sabse jyada use kiya jane wala app hai. Whatsapp kai international language ko support karta hai sath hi hamari india ki regional language ko bhi. Aap chahe to apna whatsapp bharat ki kisi bhi regional language me chala sakte hain.
Whatsapp ko india ki regional language me chalane ke liye aapko bas apne whatsapp ki setting me thode badlav karna padenge jinhe aap niche step by step padh sakte hain.
– Sabse pahle whatsapp ko open kare.
– Iske baad Menu button par click kare.
– iske baad whatsapp setting me jaye.
– Setting ke andar Chat par click kare.
– Chat me App Language par click kare.
– Yaha aapko Language ki list dikhegi usme se apni pasand ki bhasha chune.
Bas is tarah aap apne whatsapp ki setting badalkar usme apni pasand ki language ko set kar sakte hai. Ye Feature un logo ke liye kafi accha hai jo english nahi padh pate ya fir jinki shiksha regional language me hui hai.
Provident Fund Balance Kaise Check Kare Janiye 3 Tarike
AC Low Electricity Consumption Tips Reduce Your Electricity Bill
Without Internet Google Map Kaise Use Kare?
Smartphone Hang : Smartphone Ki Storage Kaise Khali Kare?
Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?