Bank Account Band Kaise Kare,Account close Application kaise likhe?
How to Close Your Bank Account
Aj ke samay me har vykti ka bank me Account hai. kai vykti ese bhi hai, jinhone ek nahi kai banko me apna Account open karvaya hai. kai bar ek se jyada bank Account hone par kai log apna Bank Account band karvana chahte hai, lekin unhe is bat ki jankari nahi hoti hai, ki Bank Account Band Kaise Kare?
Kai logo ko bank account band karne ki application kaise likhe? Pata nahi hota hai. apko Tension lene ki jarurat nahi hai, aj ham apko batayenge ki ap apna bank account band kaise karva sakte hai.
Bank Account Band Kaise Kare? (How to close a bank account)
Bank Account Band karne ke liye apko sabse pahle apka Account jis bank me hai, us bank ki Branch me ja kar Account Closer Form lena hoga. bank se liye Account Closer Form ko apko sahi se Fill karna hoga. Form me apse kai tarah ki Information puchi jayegi. Apko un sabhi Information ko sahi batana hai. apse kai tarah ke kai Question puche jayenge jese :-
– Account Holder Name
– Account Number
– Mobile number
– apke bank Balance amount ko pane ke liye apke pas Cash, check / draft, dusre bank account me balance transfer ki Facility rahti hai.
– signature
sab Information sahi Fill kar apko ye Form bank me jama karna hoga. apko Form ke sath ID proof and residence proof bhi bank ko dena hoga, taki bank apke Accounts se sabhi Information ko match kar sake. Bank apke Document ko match kar is bat ka pata lagati hai, ki ap hi us Account ke sahi holder ho ya nahi.
Bank Account Band karne ke liye apko bank ko Debit Card, Check Book and Bank Passbook ko bank me deposit karvani hoti hai. ap is tarike se apna Bank Account Band karva sakte hai, fir apka Account kisi bhi bank me hi kyo na ho.
ID proof and residence certificate bank me kare deposit
Bank is bat se sure hone ke liye apse Bank passbook photo statement, Bank residence certificate, Etc documents isliye deposit karvate hai, ki vah is bat se sure hona chahte hai, ki ap hi apne Bank account ke Real holder ho. Ap ye Steps follow kar kisi bhi bank se apna Account Band karva sakte hai
Bank Account Band karne ki Important bate? (Important things to close bank account)
Bank Account Band karne ka reason batana :-
Jab ap apna Bank Account Band karne ke liye bank ki Branch me jayenge, to apko Account closure form me Bank Account Band karne ka reason batana hoga. agar apka joint Account hai, to apko Account closure form par All account holders ke signature lena jaruri hai. Account closure form ke sath apko ek dusra form bhi Fill karna hoga.
Account ko kare De-link :-
Savings account ko Band karne se pahle apko is bat ki Information hona jaruri hai, ki ap jis Bank Account ko Band karva rahe hai, us Account se koi Investment ya trading account link to nahi hai. sabhi bank Account se Investment, loan, trading, credit card payment and insurance Payment link hota hai. yadi apke is account se koi dusra account link hai, to sabse pahle apko apne dusre bank account me inhe link karvana hoga. yadi ap esa nahi karte hai, to apko kai tarah ki Problem ka samna karna pad sakta hai. apke bank account se Gas subsidy, insurance, scholarship kai chije link hoti hai, jinke liye apko De-link account form Fill karna hi hoga.
Account me paisa ho to kya kare?
Jis Bank Account ko ap Band karvana chahte hai, yadi usme paise hai, to pahle Bank Account ko Band karne se pahle apko vah paisa nikal lena chahiye. Ya fir apko vah paise dusre Bank Account me Transfer kar dena chahiye. Yad rahe ki apko Account ka final statement apne pas hi rakhna chahiye. Our unme Account closure ki bat kahi gai ho.
Document :-
Bank apse Closure form ke sath ID photocopy our cheque book ko pavas deposit karne ki bat kahega. Jab ap bank me ye sabhi chije deposit karva denge, to bank apke Account ko Band karne ki Process start kar dega.
Closure charge bhi lagta hai?
Bank me Account open karane ke 14 days ke andar hi use Band karane par bank apse kisi bhi taraf ka koi Charge nahi leta hai, lekin 14 days se 1 year ke bich me yadi ap apna Bank Account Band karate hai, to apko bank ko Closure charge dena padta hai. 1 year se jyada ho jane ke bad kisi bhi Account ko Band karane par bank apse kisi bhi tarah ka koi Charge nahi leta hai.
Account me paisa ho to kya kare?
Jis Bank Account ko ap Band karva rahe hai, yadi usme paise hai, to un paiso ka Pay cash (only 20,000 rupye tak) ho sakta hai. apke pas un paiso ko dusre bank accounts me Transfer karane ka option bhi hota hai.
Bank Account Band karne se pahle open kare new Account
Apne kisi bhi Bank Account ko Band karne se pahle apke pas apna paisa Safe rakhne ke liye ek new Account ka hona jaruri hai. jab bhi ap Bank Account Band karne ke bare me soch rahe hai, to sabse pahle new Account Opening ke liye apko kisi bank ko search karna hoga. jaha apko kai tarah ki facilities mil sake, jese:- checks, withdrawing money and dusri facilities ka bhi ap use kar sakte hai.
Transaction our All types Payment ka kare reviews :-
Last 6 to 12 months ke liye apne Bank statement ka review kare, taki ap is chij ki identity kar sake ki kon se Automatic transaction ko ap New bank me Transfer kar sake. Is transaction me Rent payment, bill payment, direct deposit, and automatic fund transfers add hota hai. apko isase Old accounts se Transaction Report bhi mil sakti hai.
Old Account Number par Check dena band kare.
Sabse pahle ap ek list Ready kijiye jisme is bat ki Information ho ki kise ab tak Cash nahi kiya gaya hai. jab tak kisi bhi vykti ke paise Check se Cash me nahi badal jate tab tak apko Wait karna hoga. sabhi Transaction Complete hone ke bad ap apna Bank Account Band karva sakte hai.
Bank Accounts monitoring :-
sure ho jaye ki sab kuchh Change ho gaya hai. ap is bat ki bhi monitoring kare ki apke new Accounts me sara kam easily chal raha hai. is bat ki Confirmation kare ki apne jo purane Accounts se Check diye hai, vah Cash huye hai, ya nahi. Ap Online access kar bhi Accounts ko dekh sakte hai.
Bank Account Band Karne Ke Liye Application Kaise Likhe? (How to write a application to close a bank account)
Bank Account Band Karne Ke Liye apko Bank closure form ke sath ek Application bhi deni hogi, jisme apko Bank Account Band Karne ka Region batana hoga. agar apko Bank Account Band Karne ki Application ke bare me pata nahi hai, to ap is Format me Bank Account Band karne ki Application bana sakte hai.
Bank Account Band Karne Ke Liye Application Format kaisa hota hai ?
Seva me,
Shri man shakha prabandhak mahoday
XXXX bank, indore shakha
Vishay : Bank account number 1234567890000 Band Karne Ke smbndh me
Mahashay,
savinay nivedan hai, ki apke bank me mera ek bachat khata chal raha hai. me apne niji karno se ab apke bank me apna Account chalane ki stithi me nahi hu.
Mera bank Account number 1234567890000 hai. jiski puri jankari is tarah hai
Name : 1 2 3
Pita ka name : 4 5 6
Pata : 7 8 9
Mobile number : 1234567890
Bank account number : 1234567890000
Mahoday, me is Application ke sath apko mere bache huye sabhi Check, passbook and ATM card bhi lota raha hu. Kripya mere account ko Band Kar de, our mere account me bache hui paise mujhe dene ki kripa kare.
Dhanyavad
………………
Signature
………………
Date
Band bank account ko chalu karane ke liye Application kaise likhe? (Application for Re-activate Bank Account)
Seva me,
shakha prabandhak mahoday
XXXX bank, indore shakha
Vishay : Band Bank account number 1234567890000 ko chalu karane hetu Application
Mahashay,
savinay nivedan hai, ki apke bank me mera ek bachat khata account number 1234567890000 hai. mene apne niji karno se us account ko Band karva diya tha. Ab me fir se apna account ko Start karna chahta hu. Jisase me apne transaction pure kar saku. Mera bank Account number 1234567890000 hai. apse nivedan hai, ki ap mera Account fir se chalu kar de. Me asha karta hu ki ap meri har pareshani ko dhyan me rakh kar uchit samadhan karenge.
Dhanyavad
Name :- 1 2 3
Pata :- 4 5 6
mobile number :- 1234567890
Bank account number : 1234567890000
………………
Signature
………………
Date
Bank Account Band karane par Charge kyo lete hai bank?
Kai bank me jab ham new Account open karvate hai, to vo hame kai tarah ki Facility dete hai, un Facility par hone vale expenses ko recover karne ke liye bank hamse Account Band karane par Charge lete hai. is Charge me bank Checkbook, debit card etc ke expenses ko add karta hai.
Aadhar Card Bank Account Se Link kaise kare?
Bank Account me Register Mobile Number change kaise kare?
Bank Clerk kaise bane, Clerk ki taiyari kaise kare?