Phone Tap kaise karte hai, Apka Phone To Nahi Ho Raha Tap
How to know if your phone is being tapped in 2021
Aaj ke Digitalize world me smartphone har kisi ki jarurat ban gaya hai. Ham sabhi ke jivan ke liye smartphone har kisi ki jarurat ka sadhan ban gaya hai. Is sathiti me users ki Privacy kafi khatre me pad jati hai. Is duvidha me ham sabhi ke liye yah jaruri hai ki ham apne phone ka khyal kafi savdhani se rakhna chahiye.
Phone ki Care karne ke bavajud bhi kai bar ham musibat me fas sakte hai. Kai bar apke Partner apse complaint karte hai ki apka phone Out of coverage area ya bahut jyada Busy rahta hai, halaki ye Problems kai bar Network malfunction ki vajah se hota hai. Lekin iske alava apka fon koi Tap karta hai to bhi ye Problems ati hai.
signs of phone tapping in 2021
– battery temperature
yadi apki battery bina use ke Hot ho rahi hai to ho sakta hai ki background me Tape software on ho. Tape software ke karan bhi apka phone garm hone lagta hai.
– Phone battery life
Apke Phone ki battery life bina kisi karan ke bahut jald khatm ho jati hai, to Tape software continuous chalne ke karan apke phone ki battery bahut jaldi khatm ho jati hai.
– Phone ko shutdown kare
Apka phone Shutdown process me bahut samay laga raha hai to, yah apke phone ke tap hone ka sanket dete hai. Phone Shutdown hone ke bad yadi Back light jalti rahti hai to ye apke phone tap hoke ka karan hai.
– Phone ki activities par dhyan de
Apka phone jab apke bas me na rahe kahne ka matlab apka phone Automatic shutdown ho jata hai. Ya fir koi bhi App Automatic Install hote hai to apka phone Hack hua hai. Koi apke phone ko tap kar koi dusra Controll kar raha hai.
– Text message
Apke phone par new number se Strange message ate hai jinme jyada words or numbers use hote hai to ye apke liye khatre ki ghanti hai.
– Phone Bill
Achanak hi apke Internet account bill apke use se kahi jyada ata hai to,apke alava our koi bhi vyakti hai jo apke Data ko use kar raha hai.
Ham apko batayenge ki yadi apke phone ko Tap kar raha hai to uska pata kaise lagaye. Ap USSD Codes ki madad se pata kar sakte hai ki apka phone Tap ho raha hai ya nahi.
– *#*#4636#*#* Code
Is Code ko Dial karne se apke Main balance se paise nahi katenge. Apne phone se *#*#4636#*#* Code Dial karne se ap apne phone ki all Details ko jan sakte hai. Jese phone model, Phone battery, RAM, wi-fi connection test ki Information jan sakte hai.
– ##002# Code
apko yadi lagta hai ki apka Call divert kiya hai to, ap is Code ko Dial kar apne numbers ke all forwarding ko Deactivate kar sakte hai.
– *#21# Code
Is Code ki madad se ap yah jan sakte hai ki apke call, Message ya data Divert kiya hai to ap pata laga sakte hai. Sath hi apko us number ke bare me bhi pata chal jayega jis par apka call ya Message Divert kiya hai.
– *#62# Code
Aksar hamara Number Out of network zone batata hai, kai bar Network company ke name ki jagah no-service dikhata hai. *#62# Code ki sahayta se aap jan sakte hai ki kahi apka Phone kisi any number par redirect to nahi ho rahi hai. Kai bar to Mobile network company ke fault ki vajah se Redirect ho jata hai.
kisi bhi phone ko tap kaise kare?
– kisi bhi vyakti ka phone tap karne ke liye apko APP ki jarurat hogi.
– Mspy App ko Download kare.
– is app ki madad se ap Calls ke alava photos, videos, whats app messages, facebook GPS location, internet history ke bare me bhi pata laga sakte hai.
– sabse pahle apne phone me Mspy App Install kar account banaye.
– ab apko jis vykti ka phone tap karna hai uske Mobile me bhi is App ko Download kar Install karna hoga.
– App ko Install karne me thoda samay lagega lekin isse ap us vyakti ki sabhi Calls ko asani se sun payenge.
– mspy account se login hone ke bad apko all activity ko Monitor karna hoga.
– is app me Automatic Software Update Feature se ap unki sabhi Calls record kar bad me evidence ke tor par pesh kar sakte hai.
– aap bina samne vale ki jankari ke dur beth kar unki sabhi Call details ko tap kar sakte hai.
phone tap kaise kiya jata hai?
Mobile companies apne sabhi Customers ke phone sirf usi state me tap kar sakti hai. Jaha ka sim ho. Yadi koi Customers sim ka use out of state se karta hai to, uska Call tap nahi kiya ja sakta hai.
– Google play store
Google play store par is tarah ke App ki bharmar hai. play store par yadi ap dekhe to apko ese kai apps mil jayenge jo Call tap karne ka dava karte hai. User ko All companies ke play store par ye Apps mil jayenge. User ke dvara in Apps ko Activate karne ke sath hi Call recording hona shuru ho jata hai.
Lekin kai bar Google play store par bhi kai Apps ese hai jo fake hai, jinka Motive sirf apse Login karva kar apki personal details ko hasil karna hota hai. Lai Apps ese hai jinhe ham Install to kar lete hai lekin hamare kisi kam ke nahi hote hai. Isliye kisi bhi Apps ko Download ya install karne se pahle us Apps ke bare me Information hasil kar le taki bad me apko kisi tarah ki koi Problem na ho.
– Punishment
Koi vykti kisi bhi User ki Call ko tap nahi kar sakte hai, fir bhi vah kisi tarah se dusre User ki Call tap karvate hai to, yah ek Crime hai. jiske liye apko jail ki saja ya fir Penalty ya dono ho sakti hai.
New Phone me old Phone ke contacts transfer kaise kare?
Polling Booth in 2021 :- Phone se Polling Booth Kaise Pata Kare?
Smartphone Users Location Tracking off Kaise Kare?
Phone aur Computer Me Dark Mode Activate Kaise Kare?
Smartphone Secret Features in Hindi