Transfer Confirmed Train Ticket process :- Confirmed Railway Ticket Transfer Kaise Kare?

how transfer your confirmed train ticket

How to Transfer Confirmed Train Ticket to Another Person

Journey ki jab bhi bat hoti hai to har koi Railway se jana hi pasnd karta hai. Kyo ki train se Journey karna har koi pasnsd karta hai, lekin Railway ki Confirmed ticket lene kitna mushkil hota hai, is bat ko to har koi janta hi hai. Har kisi ke liye Confirmed ticket le pana asan nahi hota hai. Kai bar hame Tatkal train ticket book karvana padta hai.

Badi mushkil se Confirmed ticket milne ke bad yadi kisi karan se hame apni Journey ko Cancil karna pade to hame afsos bhi hota hai. Kyo ki itni mushkilo se to hame Confirmed ticket milta hai or hamara jana Cancil hone par ticket hame Cancil karna padta hai. Jiske liye Railway cancellation charge dena padta hai. Lekin ab ap apna Confirmed ticket Cancil karne ki jagah kisi our ko de sakte hai.

Passenger ke pas ab Confirmed ticket Cancil karne ke alava our bhi kai Better option hota hai. Ab ap traveling na kar pane ki sthiti me apna Ticket transfer kar sakte hai. Indian Railway Rules ke anusar ap apna Confirmed reservation ticket kisi our ko transfer kar apki book Seat par journey karne ka moka de sakte ho. Halaki iske liye Passenger ko kuchh conditions ko Follow karna hoga.

Confirmed railway ticket transfer kaise kare? (How to transfer confirmed railway tickets)

Passenger apna Confirmed reservation ticket kisi our ke name transfer karna chahta hai to iske liye unhe Chief Reservation Supervisor ko Application dena hoga. Government officer ticket kisi our ke name transfer karna chahte hai to 24 hours pahle Written me application reservation transfer karne ke liye dena hoga.

Confirmed Railway Ticket Transfer Rules

Passenger only apne Family member ko hi ticket transfer kar sakta hai. Vah apne Family member jese husband and wife, brother, daughter, son, sister, Mother, father ko hi transfer kar sakta hai. Iske alava vah kisi dusre vykti ko ticket transfer nahi kar sakta hai.

Railway Rules for Students

dusre Passenger ki tarah students ke liye bhi railway Rules alag hai. Yadi koi students Confirmed ticket par travel nahi kar pa raha hai to, vah kisi dusre students ko apna ticket transfer kar sakta hai. Iske liye students ko train starts hone ke 48 hours pahle application dena hogi. Yadi ap Group me travel kar rahe hai, our apka jana Cancil ho gaya hai to ap kisi dusre ke Name Ticket Transfer kar sakte hai. Lekin ye Process apko 48 hours pahle application de kar rana hoga.

important things of Indian railway ticket transfer 

– Railway ticket transfer ka application Passenger sirf ek hi bar de sakta hai.
– government officer yadi railway ticket Transfer karvate hai to unhe bhi train time se 24 Hours pahle batana hota hai.
– Recognized educational institution ke student kisi dusre student ko apna ticket transfer karna hahte hai, to 48 hours pahle unhe batana hoga.
– Marriage party member bhi 48 hours pahle jankari de kar ticket transfer karva sakte hai.
– train Start hone se 48 hours pahle NCC cadet other NCC cadets ko apna train Transfer kar sakte hai.

How to update ticket after reservation

Railway Passenger ko Facility deta hai ki vah apne ticket booking se pahle yadi upgrading option ko click karta hai, to Passenger Third AC ticket leta hai, our Second AC berth khali hai, to Passenger ko bina audition money liye Second AC berth di ja sakti hai.

Ticket Refund Rules:-

Passenger apni journey cancil karta hai to, jitna jaldi ho sake unhe apna Ticket cancell karva lena chahiye nahi to ap jitna jyada samay lenge utna adhik pesa Railway apki jeb se vasul karega.

Waiting and RAC ticket Cancil refund :-

Passenger ke pas Waiting ya RAC ticket counter se liya hua hai to unhe train shuru hone se Half an hour pahle apna ticket Cancil karna hoga. Nahi to apko Refund nahi milega. Yadi apne Online ticket karvaya hai, to Refund ke pese Account me aa jayenge.

night train refund

Rat 9 pm to 6 am tak Railway ticket counter closed rahta hai, is sthiti me yadi apko Ticket confirmation nahi milta hai to, ap apna Refunds counter opening ke two hours me lena hoga.

139 par tikat censal kese kare? (How to cancel a ticket on 139)

Passenger 139 par bhi apna Ticket cancell karva sakte hai. Railway rules ke anusar unhe kisi bhi Ticket Counter par ja kar apna Ticket dena hoga. Yadi apne Online ticket liya hai, to apko pareshan hone ki jarurat nahi hai. Ap Online ticket cancell kar sakte hai.

Train Ticket Me Passenger Name Change Kaise kare?

Indian Railway Travel Insurance Kaise Kare, Travel Insurance Process in hindi

Beauty Parlor Start kaise kare?

Suryamitra Skill 2021 :- Surya Mitra Yojana Online Apply Kaise Kare?

data-full-width-responsive="true">