Voter List Me Nahi Hai Name To Kya Kare?

Know How To Add Your Name In Voter List 2021

18 year ke bad har person Vote dalne ke liye taeyar ho jata hai. Jab ap 18 year ke ho jate hai to, Election commission apki jankari lekar apko Voter slip deta hai jise dikha kar ap vote dal sakte hai. Yadi apke pas Voter slip ya Voter ID Card nahi hai to, ap vote nahi dal sakte hai.

Election ke samy yadi apko Voter slip nahi milti hai to, ap Online Voter slip Search kar sakte hai. Ya fir Helpline call kar sakte hai. voter list me enrollment check karne ke liye kuchh steps Follow kare.

Online Voter List Kaise Download Kare? (How to download online voter list)

Online Voter List ke liye Follow kare ye steps :-

step 1:-

https://www.nvsp.in (National Voters Service Portal) ya fir NVSP search page open kare .

step 2:-

EPIC Number apke pas nahi hai to Search by details par jaye.

step 3:-

EPIC Number hone ki sthiti me Search by EPIC number par Click kare.

step 4:-

Apni details Search karne ke bad bhi apka name Voters list me nahi hai to, apko ek bar fir apni details ko Register karvana hoga. Name search karne par sabhi Details sahi hai to ap Vote de sakte hai.

Voter ID Card Kaise Banaye? (How to Apply for Voter ID Card)

Naya voter id card banavane ke liye apko registration karvana hoga, jiske liye Form-6 ko sahi se bharkar Assembly Area Election Registration Officer (ERO) ko Submit kare. Jiske bad apka name Voters list me add ho jayega.

online voter id card kaise banaye? (How to online Apply for Voter ID Card)

online voter id card banana ke liye apko kuch Steps follow kar Online form fill karna hoga.

online voter id ke liye follow kare ye Steps

– Chief Electoral Officer ya fir www.eci.nic.in Website open kar Online Voter Registration par Click kare.
– Username, password ke sath Sign up kare.
– Jis vykti ka aap voter id card banva rahe ho uska ek passport size photo Upload kare.
– Ant me api Identification ID ko Upload karte huye sabhi details sahi bhare.
– Booth Level Officer BLO apke ghar se bhi Documents collect kar sakte hai. Is puri Process me 45 days Ka samay lag sakta hai. Is bich Verification ke bad

apka name Voter list me Add ho jayega or ap vote dalne ke liye teyar ho jayenge. Android phone user ke liye Election commission ne Voter Helpline App Launch kiya hai. Jaha se aap Election ya apne voter id card ke bare me bahut kuchh jan sakte hai. Ap apni shikayat bhi Online kar sakte hai.

Online Voter ID Card ki shikayat kaise kare? (How to complain online voter card)

Jis tarah ap Online Voter ID Card banva sakte hai thik usi tarah ap Voter ID se related shikayat bhi kar sakte hai. Halaki iske liye apko kuchh Steps follow karni hogi. Apko iske liye kahi jane ki jarurat nahi hogi our na hi Booth Level Officer ke Office ke chakkar lagane honge.

step 1:-

Election Commission of India Public Redressal System ki website http://eci-citizenservices.nic.in/ ko open kare.

step 2:-

Sign Up for Complaint (New User) ke Option ko Select kare.

Step 3:-

Email ID, Mobile Number Mention kar any information Fill kar.

Step 4:-

Apne jo Mobile Number yaha par diya tha us Number par ek verify karne ke liye Verification code(OTP) sent kiya jayega. Jise apko vaha darj karna hoga.

Step 5:-

Age badte huye apke samne ek page Open hoga jaha apko Name, address, age Submit karna hoga.

Step 6:-

Apko yaha ID password bhi dalna hoga.

Step 7:-

Ant me apko apni Complaint ki Details Fill karna hoga. Apki complaint Registered ho jayegi.

Step 8:-

Apki Complaint Solve hone me 14 days ka samay lagega.

Online Voter ID List me Apan Naam Kaise Check Kare

Polling Booth in 2021 :- Phone se Polling Booth Kaise Pata Kare?

Aadhar Card Se Loan Kaise Le, Loan ke liye online Apply kaise kare?

Beauty Parlor Start kaise kare?

data-full-width-responsive="true">